parivartan
khwasihon ki shama jalti hain jaise,
zindagi karwatein badalti hain kaise,
har koi chahta hain thoda sa aasman
thodi si zameen bhi milti nahin aisey
mausam ka mizaaz badalta hain jaise
hawayein rukh badalti hain aise
yun to kati hain raat taron ki mehfil mein
thodi si tanhyee milti nahin aisey
shaam sey aankh milti hain jaise
koi bichda dost mil gaya ho aisey
muskuraaney ki koshish to hain,
thodey sey aansu miltey nahin aisey
saagar mein lehrey uthti hain jaisey
lehron mein kashti behki ho aisey
kuch ankahi battein reh gayi
aankho sey baatein ho rahi ho jaisey
3 Comments:
One of the best pieces I have ever read! Awesome, man!!!
Liked the line Har koi chaahta hai aasmaan... wala... Splendid!
really great ...
u r becoming a pro in expressing ur emotions .. carry on dude..
keep telling me ur latest ..
nice 1 be...
Post a Comment
<< Home